E Dil ek baar aur dhadak….
Ki shayad wo agli dhadkan tak aa
jaaye…Hum tumhe kaise bataye wo dil ka ruk jaana,
Har par dil ko ye intejaar samjhaana
E Dil…Thoda sa aur dhadak …
Ki unke aane ki aahat si hui hai
Thoda aur dhadak ki …
Unhe bhi tera intezaar hai…
Ek baar aur dhadhak ki…
Shaayad agli dhadkan mein we saath aaye…Har pal bas intezaar hai tera…
Dil to bas bekaraar hai mera
Ab Koi bahana bhi nahi sunta…
Ab koi dilasa bhi nahi leta …
Ek baar aur dhadakne se darta hai…
Akele dhadakne se machalta hai…
Bas ab bahut ho gaya intejaar…
Yaara ab aa bhi jaao…
Himmat ab meri jawab deti jaaye…
Har pal marne ka khayaal aaye..
E Dil ek baar aur dhadak….
ki shayad wo agli dhadkan tak aa jaaye.
No comments:
Post a Comment